اردو हिंदी
Wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap | Shaahi Shayari
wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

Ghazal

Wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

Arshad Ali Khan Qalaq

;

wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
sach to ye hai ki jhuTon ke hain baadshah aap

daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal
hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua
kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap

ye gah bhi kafsh-KHana hai aaKHir huzur ka
tashrif yan bhi laya karen gah gah aap

mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did
dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap

tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal
sari bayaz karte hain na-haq siyah aap

kuchh husn hi hain afsar-e-KHuban nahin huzur
hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap

aariz abhi hain rup pe KHat aane dijiye
kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw
majnun hua hai hath se apne tabah aap

kalima paDhe huzur ka dekhe jo samri
rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

sab aashiqon ke ek se hote nahin chain
khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap

darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir
apne apahijon ko wo lenge nibah aap

mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs
rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein
aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap

dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas
dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap

azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'
kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap