wada hai ki jab roz-e-jaza aaega
tu apne hi jalwon mein ghira aaega
ta-hashr yunhi muntazir-e-did rahun
chupke se kabhi aa ke bata, aaega
main nama-e-amal khula rakkhunga
rahmat ko teri josh siwa aaega
hasrat-e-gah-e-alam mein tamanna ka qadam
illa ki taraf surat-e-la aaega
KHali bhi to kar KHana-e-dil duniya se
is ghar mein meri jaan KHuda aaega
dariya mein bahut lahr hain KHwabida abhi
jagengi to tufan baDa aaega
mahfil mein sabhi dost nahin aate hain
dushman bhi koi dost-numa aaega
ab tab na launga ye andesha hai
manzar jo koi hosh-ruba aaega
niklo bhi kabhi sud-o-ziyan se warna
kuche mein tere kaun bhala aaega
Ghazal
Wada hai ki jab roz-e-jaza aaega
Anjum Azmi