اردو हिंदी
Wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha | Shaahi Shayari
wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha

Ghazal

Wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha

Abdullah Kamal

;

wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha
aur phir umr bhar ek gham-e-e'tibar uTha

us ka gham mere dil mein hai ab bansuri ki tarah
naghma-e-dard se zaKHma-e-iKHtiyar uTha

main uTha to falak se bahut chand tare gire
aur sahra-e-jaan mein bahut gham-e-ghubar uTha

kuchh raha mere dil mein to ek iztirab raha
main sada apni hi KHak se be-qarar uTha

ai KHuda rizq-e-parwaz de shahparon ko mere
mere atraf se aasman ka hisar uTha

tu mujhe aasman de na de be-zamin na kar
dasht-e-jaan se mere mausam-e-tab-kar uTha

ya meri aankh se chhin le sab KHazana-e-KHwab
ya meri KHak se zindagi ka fishaar uTha