upar jo parind ga raha hai
niche ka mazaq uDa raha hai
miTTi ka banaya naqsh us ne
ab naqsh ka kya bana raha hai
ghar bhar ko ye taqcha mubarak
KHud chal ke charagh aa raha hai
ab duri huzuri kya hai sahab
bas jism ko jism kha raha hai
ye waqt ka KHas aadmi tha
be-waqt jo ghar ko ja raha hai
ab main nahin rah mein to rasta
meri jagah KHak uDa raha hai
awwal wo ghalat banane wala
aaKHir ko ghalat miTa raha hai
wo qafila aa saka nahin kyun
rasta bhi to wan se aa raha hai
Ghazal
Upar jo parind ga raha hai
Shaheen Abbas

