unchi nichi pech khati dauDti kali saDak
kitne sote jagte fitnon ki hai wali saDak
raat ki gahri KHamoshi TimTimati raushni
ek main tanha musafir dusri KHali saDak
aate jate lakh qadmon ke nishan ubhre magar
aaj bhi chikni nazar aati hai matwali saDak
sab ke sab rahi musafir manzilon tak ja chuke
hai magar hadd-e-nazar ab naqsh-e-pamali saDak
pi chuki sab aam ki KHushbu ko bu petrol ki
shahr se aai liye kaisi ye KHush-haali saDak
us ke sare pech-o-KHam ka raaz-dan hun main 'shamim'
dastan rakhti hai tafsili ye ijmali saDak
Ghazal
Unchi nichi pech khati dauDti kali saDak
Syed Ahmed Shameem