utri hai aasman se jo kal uTha to la
taq-e-haram se shaiKH wo botal uTha to la
laila ke dil mein qais nikal aaegi jagah
tu sar par aaj najd ka jangal uTha to la
dhona hai dagh-e-jama-e-ehram subh subh
hujre se shaiKH pani ki chhagal uTha to la
mujh ko bhi intizar tha abr aae to piyun
saqi agar ye sach hai ki baadal uTha to la
wo husn-e-waza dekhenge kyunkar juDe hain dil
zar-gar nai bani hai jo haikal uTha to la
taq-e-haram mein shaiKH gulabi hai phul si
is kaam ka milega tujhe phal uTha to la
ban jae din ye tira-shab-e-hijr ai nadim
raushan tha jis se tur wo mashal uTha to la
main kaam lunga abr ka ai rind tan kar
tu mujh faqir-e-mast ka kambal uTha to la
ai shaiKH mez se dam-e-iftar farsh par
pine ko phul khane ko kuchh phal uTha to la
naseh ka munh ho band chakha dun sharab-e-KHuld
saqi zara 'riyaz' ki botal uTha to la
Ghazal
Utri hai aasman se jo kal uTha to la
Riyaz Khairabadi