utre to kai bar sahife mere ghar mein
milte hain magar sirf jaride mere ghar mein
aawaz mein lazzat ka naya shahad jo gholen
utre na kabhi aise parinde mere ghar mein
neze to shuaon ke rahe KHun ke pyase
nam-dida the diwar ke sae mere ghar mein
qindil-e-nawa le ke safar hi mein raha main
dhundla gae armanon ke shishe mere ghar mein
andar ki hararat se badan sukh raha hai
utren kabhi shabnam ke qabile mere ghar mein
main kaise tamannaon ke darpan ko bachaun
saffak hue jate hain lamhe mere ghar mein
album ki bhi saughat tarab-KHez hai kitni
ab meri tarah hain kai chehre mere ghar mein
Ghazal
Utre to kai bar sahife mere ghar mein
Zaheer Ghazipuri