utre tilism shab ke ujalon pe raat-bhar
qurban hui hai subh charaghon pe raat-bhar
zulmat mein apni Dub gain din ki bastiyan
suraj tamam chamke sitaron pe raat-bhar
utre nahin shabon mein uDanon ke hausle
baiThe rahe parind bhi shaKHon pe raat-bhar
ek lau nahin nasib ghariban-e-shahr ko
shamen jali hain kitni mazaron pe raat-bhar
Dhalti rahi nigah mein chehron ki chandni
nazil hue yaqin gumanon pe raat-bhar
pairahan-e-jamal hai raKHt-e-barahnagi
pahne gae hain jism libason pe raat-bhar
KHushbu mein jazb ho gain mahtabiyan 'samad'
shabnam hui nisar gulabon pe raat-bhar

Ghazal
Utre tilism shab ke ujalon pe raat-bhar
Samad Ansari