اردو हिंदी
UThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun | Shaahi Shayari
uThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun

Ghazal

UThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun

Shah Naseer

;

uThti ghaTa hai kis tarah bole wo zulf uTha ki yun
barq chamakti kyunki hai hans ke ye phir kaha ki yun

chori se us ke panw tak pahunchi thi shab ko kis tarah
aa kahin hath mat bandha kah de ab ai hina ki yun

din ko falak pe kahkashan nikle hai kyunki ghair-e-shab
chin-e-jabin dikha mujhe us ne diya bata ki yun

jaise kaha ki aashiqan rahte hain kyunki chaak-jeb
us ko gul-e-chaman dikha kah ke chali saba ki yun

ho gae bar-sar-e-KHalish le ke sinan jo KHar-e-dasht
kar ne kalam tab laga qais-e-barhana-pa ki yun

puchhe hai wo ki kis tarah shisha-o-jam ka hai sath
kah de mila ke chashm se chashm ko saqiya ki yun

karte safar hain kis tarah bahr-e-jahan se ai hubab
KHeme ko apne lad kar kar de ye uqda wa ki yun