uThte hue tufan ka manzar nahin dekha
dekho mujhe gar tum ne samundar nahin dekha
guzra hua lamha tha ki bahta hua dariya
phir meri taraf us ne palaT kar nahin dekha
ek dasht mila kucha-e-jaanan se nikal kar
hum ne to kabhi ishq ko be-ghar nahin dekha
the sang to betab bahut naqsh-gari ko
hum ne hi unhen aankh uTha kar nahin dekha
ek umr se hai jo meri wahshat ka Thikana
KHushiyon ki tarah tu ne bhi wo ghar nahin dekha
nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki
is dil sa koi hum ne to kafar nahin dekha
KHwahish ko yahan hasb-e-zarurat nahin paya
hasil ko yahan hasab-e-muqaddar nahin dekha
har haal mein dekha hai use zabt ka paikar
'tishna' ko kabhi zarf se bahar nahin dekha
Ghazal
UThte hue tufan ka manzar nahin dekha
Alamtaab Tishna