uTho zamane ke aashob ka izala karen
ba-nam-e-gul-badnan ruKH su-e-piyala karen
ba-yaad-e-dida-e-maKHmur pur-piyala karen
uTho ki zahr ka phir zahr se izala karen
wo rind hain na uThaen bahaar ka ehsan
warud hum teri KHalwat mein be-hawala karen
kahan ke dair o haram aao ek sajda-e-shauq
bapa-e-hosh-e-rubayan-e-bast-sala karen
baras paDe jo gulistan mein us nazar se sharab
bahak bahak ke hum aage subu-e-lala karen
subu uTha ki gadayan-e-ku-e-mai-KHana
tere hawale mah-o-mehr ka qabaala karen
hadis-e-zohd ho ya wardat-e-zahra-misal
kisi ke nam ko hum zeb-e-har-maqala karen
dikha sahifa-e-ruKH is tarah ki ahl-e-bahaar
waraq waraq ba-KHajalat bayaz-e-lala karen
uTho jala ke mai-e-surKH se charagh-e-abad
nashat-e-sohbat-e-shab ko hazar-sala karen
ada wo nichi nigahon ki hai ki jaise 'zafar'
talash-e-kunj-e-ghazalan-e-KHurd-sala karen
Ghazal
UTho zamane ke aashob ka izala karen
Sirajuddin Zafar

