uTho yahan se kahin aur ja ke so jao
yahan ke shor se bhago kahin bhi kho jao
lahu lahu na karo zindagi ke chehre ko
sitamgaron ki nawazish se dur ho jao
kahan phiroge ghubar-e-safar ko sath liye
mata-e-dard ko daman mein le ke so jao
karam ki bhik kahan qatilon ki basti mein
badan ka KHol uThao lahad mein so jao
ye saya-dar shajar to fareb dete hain
KHizan ke sath raho aandhiyon ke ho jao
ye zindagi to farebon ka aaina Thahri
ab apni khoj mein bhaTko farar ho jao
Ghazal
UTho yahan se kahin aur ja ke so jao
Surender Pandit Soz