اردو हिंदी
UTho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana | Shaahi Shayari
uTho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana

Ghazal

UTho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana

Hafeez Jalandhari

;

uTho ab der hoti hai wahan chal kar sanwar jaana
yaqini hai ghaDi do mein mariz-e-gham ka mar jaana

mujhe Dar hai gulon ke bojh se marqad na dab jae
unhen aadat hai jab aana zarur ehsan dhar jaana

habab aa samne sab walwale josh-e-jawani ke
ghazab tha qulzum-e-ummid ka chaDh kar utar jaana

yahan juz kashti-e-mauj-e-bala kuchh bhi na paoge
isi ke aasare dariya-e-hasti se utar jaana

mabaada phir asir-e-dam-e-aql-o-hosh ho jaun
junun ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana

'hafiz' aaghaz se anjam tak rahzan ne pahunchaya
usi ko ham-safar paya usi ko ham-safar jaana