اردو हिंदी
UThiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai | Shaahi Shayari
uThiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai

Ghazal

UThiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai

Suha Mujaddadi

;

uThiye to kahan jaiye jo kuchh hai yahin hai
bahar tere ghar ke to na duniya hai na din hai

hum hain ki sar-e-naqsh-e-qadam saikDon sajde
wo hai ki jahan dekhiye bas chin-ba-jabin hai

sahra mein phiraati hai mujhe KHana-KHarabi
ye DhunD raha hun ki mera ghar bhi yahin hai

aati nahin nazdik KHayalon ke ye duniya
wo bazm bhi ya rab koi firdaus-e-barin hai

ta hadd-e-taKHayyul faqat ek jalwa hai ya dil
duniya mein hamari na falak hai na zamin hai

ji bhar ke zara dekh to len husn ke jalwe
phir kis ko unhen chhoD ke jine ka yaqin hai

wo dard-e-darun jism mein yun phail gaya hai
paDta hai jahan hath samajhta hun yahin hai

rahta hun 'suha' ahl-e-haram mein bhi numayan
hote hain ishaare ye KHarabaat-nashin hai