uThi nigah to apne hi ru-ba-ru hum the
zamin aaina-KHana thi chaar-su hum the
dinon ke baad achanak tumhaara dhyan aaya
KHuda ka shukr ki us waqt ba-wazu hum the
wo aaina to nahin tha par aaine sa tha
wo hum nahin the magar yar hu-ba-hu hum the
zamin pe laDte hue aasman ke narghe mein
kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu hum the
hamara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan
dinon ki baat hai mahfil ki aabru hum the
KHayal tha ki ye pathraw rok den chal kar
jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the
Ghazal
UThi nigah to apne hi ru-ba-ru hum the
Rahat Indori