uThao sang ki hum mein sanak bahut hai abhi
hamare garm lahu mein namak bahut hai abhi
utar rahi hai agar chandni utarne de
mahakti zulf mein teri chamak bahut hai abhi
ye kal kisi nae mausam ki fasl kaTenge
saron mein ahl-e-junun ke Thanak bahut hai abhi
use KHabar nahin suraj bhi Dub jata hai
hasin libas pe nazan dhanak bahut hai abhi
hamare pahle hi mausam ne hum ko toD diya
magar tumhaare badan mein lachak bahut hai abhi
hawa-e-waqt ne jhonki hai dhul aankhon mein
hamari aankh mein lekin chamak bahut hai abhi
dil apna un ki hatheli pe rakh bhi de 'anjum'
tere KHulus pe yaron ko shak bahut hai abhi
Ghazal
UThao sang ki hum mein sanak bahut hai abhi
Ashfaque Anjum