uThane wale ye ek baat hai batane ki
jabin-e-shauq se zinat thi aastane ki
main is ada ko na kyun subh-e-daimi kar lun
Thahar ki khinch lun taswir muskurane ki
tumhaari aankhon mein ye surKH surKH Dore hain
jhalak rahi hai ki surKHi mere fasane ki
tujhe KHabar bhi hai 'naKHshab' se ruThne wale
tere badalte hi badli nazar zamane ki
Ghazal
UThane wale ye ek baat hai batane ki
Nakhshab Jaarchawi