uTha leta hai apni eDiyan jab sath chalta hai
wo bauna kis qadar mere qad-o-qamat se jalta hai
kabhi apne wasael se na baDh kar KHwahishen pa lun
wo pauda TuT jata hai jo la-mahdud phalta hai
masafat mein nahin hajat use chhitnar peDon ki
bayaban ki dahakti god mein jo shaKHs palta hai
main apne bachpane mein chhu na paya jin khilaunon ko
unhi ke waste ab mera beTa bhi machalta hai
meri majburiyan dekho use bhi mo'tabar samjhun
jo har taqrir mein apna lab-o-lahja badalta hai
badan ke sath meri ruh bhi 'sipra' khathak nache
ghazal sanche mein jab koi naya mazmun Dhalta hai
Ghazal
UTha leta hai apni eDiyan jab sath chalta hai
Tanveer Sipra