اردو हिंदी
UTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha | Shaahi Shayari
uTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha

Ghazal

UTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha

Qazi Ehtisham Bachhrauni

;

uTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha
KHuda ka shukr hai tufan ghar ka ghar mein raha

na jaane kaun si us mein kashish thi poshida
tamam-umr wo chehra meri nazar mein raha

sitam-shiar se hum jite-ji ye kyun kah den
ki hausla na hamare dil-o-jigar mein raha

na rok paunga hargiz main teri ruswai
tu ashk ban ke agar meri chashm-e-tar mein raha

wo meri tarah bhi KHana-KHarab kyun rahta
bana ke dil ko mere ghar wo apne ghar mein raha

fana ke baad bhi ki hai teri qadam-bosi
main KHak ho ke bhi teri hi rahguzar mein raha

gaya jo taj mili ba-kamal darweshi
zamana yun bhi mere halqa-e-asar mein raha

zarur ho na ho tu tha mujh hi mein poshida
ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar mein raha

gaya jo manzil-e-maqsud tak jo tu diwana
ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar main raha

hai 'ehtisham' zamane mein baDh ke ek se ek
wo kaun hai ki jo yakta kisi hunar mein raha