uTh raha hai dam-ba-dam Dar ka dhuan
kam nahin ho pa raha ghar ka dhuan
kashtiyon ki aag dafnane ke baad
dekh le sahil samundar ka dhuan
donon jaanib ek jaisi aag hai
donon jaanib hai barabar ka dhuan
samne to scene hai behtar magar
kya pata pichhe ho manzar ka dhuan
khiDkiyan sari ki sari khol kar
dekhta rahta hun bahar ka dhuan
jang ke aasar hain baqi abhi
aa raha hai pas lashkar ka dhuan
Ghazal
UTh raha hai dam-ba-dam Dar ka dhuan
Vasaf Basit