uTh jae gar ye bich se parda hijab ka
dariya hi phir to nam hai har ek hubab ka
kyun chhoDte ho durd-e-tah-e-jam mai-kasho
zarra hai ye bhi aaKHir usi aaftab ka
aisi hawa mein pas na saqi na jam-e-mai
rona baja hai haal pe mere sahab ka
hona tha zindagi hi mein munh shaiKH ka siyah
is umr mein hai warna maza kya KHizab ka
is dasht-e-pur-sarab mein bahke bahut pa haif
dekha to do qadam pe Thikana tha aab ka
zahid mariz-e-ishq pe ho sharb-e-mai haram
bare ye masala hai teri kis kitab ka
jun surma kyun na chashm mein 'qaem' ki ho jagah
aaKHir wo KHak-e-pa hai shah-e-bu-turab ka
Ghazal
UTh jae gar ye bich se parda hijab ka
Qayem Chandpuri