اردو हिंदी
UTh gai uski nazar main jo muqabil se uTha | Shaahi Shayari
uTh gai uski nazar main jo muqabil se uTha

Ghazal

UTh gai uski nazar main jo muqabil se uTha

Shaad Aarfi

;

uTh gai us ki nazar main jo muqabil se uTha
warna uThne ke liye ghair bhi mahfil se uTha

baiTh kar lutf na tu saya-e-baatil se uTha
chal ke aaram uThana hai to manzil se uTha

aa ke mahfil mein teri kaun mere dil se uTha
koi uTTha bhi meri tarah to mushkil se uTha

sath aata hai to lahron ke thapeDe mat gin
mauj se lutf uThana hai to sahil se uTha

hath mein jaan uThana to baDi baat nahin
koi patthar koi kanTa rah-e-manzil se uTha

qurb-e-sahil ke takabbur mein jo kashti Dubi
koi chhoTa sa babula bhi na sahil se uTha

be-dili hae tamanna ki na duniya hai na din
jis taraf tujh ko uThana hai qadam dil se uTha

wo jo nau-warid-e-ulfat hain unhen kya malum
kis liye aaj main sang-e-dar-e-qatil se uTha

shaiKH par hath uThane ke nahin hum qael
hath uThane ki jo Thani hai to baatil se uTha

aaj us kufr-e-sarapa ne sanware gesu
aaj bikhra hua parda ruKH-e-baatil se uTha

'shad' ek rahbar-e-makkar se rahzan achchha
koi nuqsan uThana hai to jahil se uTha