uTh gae yan se apne hamdam to
hath malte hi rah gae hum to
yar aaya hai dekh lun is ko
ai ajal dam le tu koi dam to
munis-e-taza hain ye dard-o-alam
muddaton ka rafiq hai gham to
apna aashiq na jaan tu mujh ko
is ko jaane hai ek aalam to
be-halawat nahin KHat-e-lab-e-yar
fil-haqiqat shakar hai ye sam to
dil bhi bah jaega tere ham-rah
karwan-e-sarishk Tuk tham to
kyun rakhun dagh dil par ai 'joshish'
dagh ko bah kare hai marham to
Ghazal
UTh gae yan se apne hamdam to
Joshish Azimabadi

