اردو हिंदी
Utarne wali dukhon ki baraat se pahle | Shaahi Shayari
utarne wali dukhon ki baraat se pahle

Ghazal

Utarne wali dukhon ki baraat se pahle

Hazin Ludhianvi

;

utarne wali dukhon ki baraat se pahle
charagh banT do basti mein raat se pahle

yunhi milega na aab-e-hayat ka chashma
guzarna hoga lahu ki furaat se pahle

bashar jo aaj hai tahzib-o-irtiqa ka amin
faqat darinda tha irfan-e-zat se pahle

hami ne maut ki tardid mein zaban kholi
hamin ne pyar kiya hai hayat se pahle

wahan to baat bhi karna jihad karna hai
jahan pe honT siye jaen baat se pahle

nai hayat 'hazin' fan ko de gaya 'ghaalib'
agarche mar gaya tha wo wafat se pahle