utar raha tha samundar sarab ke andar
bichhaD ke KHud se mila jab main KHwab ke andar
ragen khinchin to badan KHwab ki tarah TuTa
KHala ka zoam bhara tha habab ke andar
main mah-o-sal ka kab tak hisab likhta rahun
asir puri sadi hai azab ke andar
nazar ko faiz mila to labon pe mohr lagi
furaat yun bhi mili hai sarab ke andar
ajab junun meri ungliyon mein jaga hai
ki KHun DhunD rahi hain gulab ke andar
Ghazal
Utar raha tha samundar sarab ke andar
Shariq Adeel