اردو हिंदी
Usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain | Shaahi Shayari
usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain

Ghazal

Usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain

Faiyyaz Rashk

;

usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain
ghazal wale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain

zaban ki chashni se tar-ba-tar ghazlon ko paDhta hun
ye ruhani ghiza hai hum jise marghub rakhte hain

ghazal tahzib hai meri ghazal mera tamaddun hai
buzurgon ne jo rakkha tha wahi uslub rakhte hain

sunate hain tahat mein jab ghazal andaz mein apne
pukar uThti hai duniya zauq hum kya KHub rakhte hain

ghazal bas is liye phaila rahi hai apne daman ko
ki hum ghazlon ke tewar ko bahut hi KHub rakhte hain

jinhen ghazlon se uljhan hai miyan 'fayyaz' kya bolen
nazakat se ghazal ki hum unhen marub rakhte hain