usi se aae hain aashob aasman wale
jise ghubar samajhte the karwan wale
main apni dhun mein yahan aandhiyan uThata hun
magar kahan wo maze KHak-e-ashiyan wale
mujhe diya na kabhi mere dushmanon ka pata
mujhe hawa se laDate rahe jahan wale
mere sarab-e-tamanna pe rashk tha jin ko
bane hain aaj wahi bahr-e-be-karan wale
main nala hun mujhe apne labon se dur na rakh
mujhi se zinda hai tu mere jism-o-jaan wale
ye musht-e-KHak 'zafar' mera pairahan hi tu hai
mujhe zamin se Daraen na kahkashan wale
Ghazal
Usi se aae hain aashob aasman wale
Zafar Iqbal