usi ne hijraten kuchh aur bhi bitai thin
wo shaKHs jis ke liye kashtiyan jalai thin
mila tha kya tumhin bolo azim phankaro
mere qalam ne to gum-namiyan kamai thin
abhi to hath mein hi sang-pare the lekin
sukut-e-ab pe kitni KHarashen aai thin
uDa ke barg-e-KHizan-dida ki tarah ek roz
usi ne puchha tha phir aandhiyan kab aai thin
kisi ko qissa-e-paki-e-chashm yaad nahin
ye aanhken kaun si barsat mein nahai thin
talluqat mein sanjida moD jab aae
to ehtiyaten bahut us ki yaad aai thin
Ghazal
Usi ne hijraten kuchh aur bhi bitai thin
Musavvir Sabzwari