usi ki zat ko hai daiman sabaat-o-qayam
qadir o hai o karim o muhaimin o minam
buruj bara mein la kar rakhi wo bariki
ki jis ko pahunche na fikrat na danish o auham
idhar farishta-e-karrobi aur udhar ghilman
qalam ko lauh pe baKHshi hai taqat-e-irqam
ye do hain shams o qamar aur sath un ke yar
atarad o zuhal o zohra mushtari bahram
jo chahen ek palak Thahren ye so taqat kya
phira karenge ye aaghaz se le ta-anjam
bashar jo chahe ki samjhe unhen so kya imkan
hai yan farishton ki aajiz aqul aur ifham
nikale un se gul o mewa shaKH o barg-o-bar
sab us ke lutf-o-karam ke hain aam ye inam
isi ke bagh se dil shad ho ke khate hain
chhuhaare kishmish o ingir o pista o baadam
chamak raha hai usi ki ye qudraton ka nur
bahr-zaman o bahr-saat o bahr-hangam
ki us ka shukr karen shab se ma-ba-roz ada
itaat us ki baja lawen subh se ta-sham
'nazir' nukta samajh mehr-o-fazl-e-KHaliq ko
isi ke fazl se donon jahan mein hai aaram
Ghazal
Usi ki zat ko hai daiman sabaat-o-qayam
Nazeer Akbarabadi