usi ki dhun mein kahin naqsh pa gaya hai mera
jo aa ke KHwab mein dar khaTkhaTa gaya hai mera
guzar gaya hai jo pahlu bacha ke mujh se to kya
nazar jhuka ke wo ghar dekhta gaya hai mera
hun muztarib teri gum-gashta aarzu ke liye
dukan-e-dil se dur-e-be-baha gaya hai mera
asir-e-gumbad-e-be-dar paDa hun muddat se
mere hi dil pe wo pahra biTha gaya hai mera
qadam qadam pe dayar-e-wafa ke raste mein
meri zaban se fasana suna gaya hai mera
muhit hai mere diwar-o-dar pe tanhai
na jaane kaun ise ghar bata gaya hai mera
Ghazal
Usi ki dhun mein kahin naqsh pa gaya hai mera
Zahid Farani