usi ki dastanen hain usi ki qissa-KHwani hai
wo lutf-e-KHas jo mujh par tera ai yar-e-jaani hai
na ja zalim abhi to tishna-e-didar hain aankhen
zara dam le abhi to dastan-e-gham sunani hai
mohabbat zulf ka aaseb jadu hai nigahon ka
mohabbat fitna-e-mahshar bala-e-na-gahani hai
bujhi hasrat ka nauha hai dil-e-marhum ka matam
ba-alfaz-e-digar ye sher-KHwani soz-KHwani hai
gharana hai hamara 'dagh' ka hum dilli wale hain
zamane mein musallam 'KHar' apni KHush-bayani hai
Ghazal
Usi ki dastanen hain usi ki qissa-KHwani hai
Khar Dehlavi