usi ke qurb mein rah kar hari bhari hui hai
sahaare peD ke ye bel jo khaDi hui hai
abhi se chhoTi hui ja rahi hain diwaren
abhi to beTi zara si meri baDi hui hai
bana ke ghonsla chiDiya shajar ki banhon mein
na jaane kis liye aandhi se Dari hui hai
abhi to pahle safar ki thakan hai panw mein
ki phir se juti pe juti meri paDi hui hai
nai ruton ke muqaddas bulawe to hain magar
salib wadon ki jo rah mein ek gaDi hui hai
main hath bandhe hue lauT aai hun ghar mein
ki mere pars mein ek aarzu mari hui hai
agar bichhaDne ka us se koi malal nahin
'shabana' ashk se phir aankh kyun bhari hui hai
Ghazal
Usi ke qurb mein rah kar hari bhari hui hai
Shabana Yousaf