اردو हिंदी
Usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai | Shaahi Shayari
usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai

Ghazal

Usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai

Osama Zakir

;

usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai
gire shajar se hawa ka shajara nikalna hai

main der se ek dar pe KHali khaDa hua hun
kisi ki masrufiyat mein waqfa nikalna hai

mujhe pahaDon ko khodte dekh kya rahe ho
kahin pahunchna nahin hai rasta nikalna hai

baDe-baDon se akaD ke milta hun aaj-kal main
mujhe KHudaon mein ek banda nikalna hai

bahut dinon se sukun phaila hai zindagi mein
isi tasalli mein ab achambha nikalna hai