usi ke kahne pe munhasir hai 
ye sara us ki sar-e-rah par hai 
kamal-e-dad us ko is qadar hai 
ye zor us ki hi wah par hai 
kahan kahan kis ko kya milega 
ye faisla sarbarah par hai 
kisi ki aankhon ke ashk par hai 
kisi ke honTon ki aah par hai 
badal to lun rasta magar phir 
nazar abhi zad-e-rah par hai 
chalega ab kitni dur tak tu 
ye apne zor-e-nibah par hai 
har ek mehwar har ek markaz 
abhi tak us kaj-kulah par hai 
wo baKHsh de chahe mar Dale 
ye faisla aaj shah par hai 
kahan se palTe kahan pe Thahre 
ye munhasir ab nigah par hai 
lo aaj Duben ki par utren 
ye sab to 'mumtaz' chah par hai
        Ghazal
Usi ke kahne pe munhasir hai
Mumtaz Malik

