usi hasin se chaman mein bahaar aaj bhi hai
usi nazar se dilon ko qarar aaj bhi hai
jo tha sada se mera gham-gusar aaj bhi hai
juDa usi se mere dil ka tar aaj bhi hai
guzar gaya mere arman ka karwan lekin
tere firaq ka uDta ghubar aaj bhi hai
bas ek jalwa-e-rangini-e-ada ke liye
ye chashm-e-shauq meri be-qarar aaj bhi hai
visal-e-yar ki KHushiyan thi chand lamhon ki
gham-e-habib se dil be-qarar aaj bhi hai

Ghazal
Usi hasin se chaman mein bahaar aaj bhi hai
Rohit Soni u0027Tabishu0027