اردو हिंदी
Usi chaman mein chalen jashn-e-yaad-e-yar karen | Shaahi Shayari
usi chaman mein chalen jashn-e-yaad-e-yar karen

Ghazal

Usi chaman mein chalen jashn-e-yaad-e-yar karen

Makhdoom Mohiuddin

;

usi chaman mein chalen jashn-e-yaad-e-yar karen
dilon ko chaak gareban ko tar-tar karen

shamim-e-pairahan-e-yar kya nisar karen
tujhi ko dil se laga len tujhi ko pyar karen

sunati phirti hain aankhen kahaniyan kya kya
ab aur kya kahen kis kis ko sogwar karen

uTho ki fursat-e-diwangi ghanimat hai
qafas ko le ke uDen gul ko ham-kanar karen

kaman-e-abru-e-KHuban ka bankpan hai ghazal
tamam raat ghazal gaen did-e-yar karen