اردو हिंदी
Use ye haq hai ki wo mujhse iKHtilaf kare | Shaahi Shayari
use ye haq hai ki wo mujhse iKHtilaf kare

Ghazal

Use ye haq hai ki wo mujhse iKHtilaf kare

Ejaz Rahmani

;

use ye haq hai ki wo mujh se iKHtilaf kare
magar wajud ka mere bhi e'tiraf kare

use to apni bhi surat nazar nahin aati
wo apne shisha-e-dil ki to gard saf kare

kiya jo us ne mere sath na-munasib tha
muaf kar diya main ne KHuda muaf kare

wo shaKHs jo kisi masjid mein ja nahin sakta
to apne ghar mein hi kuchh rose etakaf kare

wo aadmi to nahin hai siyah patthar hai
jo chahta hai ki duniya mera tawaf kare

wo kohkan hai na hai us ke hath mein tesha
magar zaban se jab chahe wo shigaf kare

main us ke sare naqais use bata dunga
ana ka apne badan se juda ghilaf kare

jise bhi dekhiye patthar uThae phirta hai
koi to ho meri wahshat ka e'tiraf kare

main is ki baat ka kaise yaqin karun 'ejaz'
jo shaKHs apne usulon se inhiraf kare