use yaqin na aaya meri kahani par
wo naqsh DhunD raha tha guzarte pani par
safine thak ke tah-e-ab ho gae sare
hunar khila na hawaon ka baadbani par
main saKHt-jaan tha aisa ki chiKH bhi na saka
fughan fughan thi jahan marg-e-na-gahani par
main aasman ko samajhta raha harif apna
gaya na dhyan kabhi us ki be-karani par
'mujibi' chup si ye kyun lag gai zamane ko
kahan gae wo jo nazan the KHush-bayani par
Ghazal
Use yaqin na aaya meri kahani par
Siddique Mujibi

