use shauq-e-ghota-zani na tha wo kahan gaya
mere najm-e-ab mujhe bata wo kahan gaya
jo lakir pani pe naqsh thi wo kahan gai
jo bana tha KHak pe zaicha wo kahan gaya
kahan TuTe meri tanab-e-jism ke hausle
jo laga tha KHema wajud ka wo kahan gaya
jo zamin panw tale bichhi thi kidhar gai
wo jo aasman saron pe tha wo kahan gaya
gae kis jihat ko tikon KHwab ke zawiye
jo ruka tha aankh mein daera wo kahan gaya
abhi aks us ka ubhar raha tha ki dafatan
mere aaine se bichhaD gaya wo kahan gaya
kahan gum huin wo zaban o kaam ki lazzaten
jo phalon mein hota tha zaiqa wo kahan gaya
Ghazal
Use shauq-e-ghota-zani na tha wo kahan gaya
Rafiq Sandelvi