اردو हिंदी
Use samajhne ka koi to rasta nikle | Shaahi Shayari
use samajhne ka koi to rasta nikle

Ghazal

Use samajhne ka koi to rasta nikle

Waseem Barelvi

;

use samajhne ka koi to rasta nikle
main chahta bhi yahi tha wo bewafa nikle

kitab-e-mazi ke auraq ulaT ke dekh zara
na jaane kaun sa safha muDa hua nikle

main tujh se milta to tafsil mein nahin jata
meri taraf se tere dil mein jaane kya nikle

jo dekhne mein bahut hi qarib lagta hai
usi ke bare mein socho to fasla nikle

tamam shahr ki aankhon mein surKH shoale hain
'wasim' ghar se ab aise mein koi kya nikle