use main talash kahan karun wo uruj hai main zawal hun
gham-e-mustaqil mera hal kahan wo jawab hai main sawal hun
nae mausamon ki hun aarzu nai rifaton ki hun justuju
mujhe toD KHwab-e-jahan-e-nau main tilism-e-bab-e-KHayal hun
mere aaine ki kuduraten meri apni zat ki gard hain
mujhe kab malal kisi se ho ki main aap apna maal hun
meri bandagi ke ye mashghale ki KHudai se bhi muamle
kabhi KHud hi dst-e-karim hun kabhi KHud hi dast-e-sawal hun
ye buland-o-past-e-jahan-e-dil kahin hausle kahin marhale
kabhi hun main auj-e-KHayal par kabhi zoaf-e-jaan se niDhaal hun
kabhi khil gai jo koi kali to payam-e-shauq gali gali
kabhi aa gai jo hawa-e-gham to main gard-e-baad-e-malal hun
kabhi mujh se soz-e-hayat le kabhi mujh se saz-e-hayat sun
main faza-e-qarya-e-hijr hun main hawa-e-shahr-e-visal hun
kabhi main asir-e-makan hua kabhi mawara-e-zaman hua
kabhi aaj mein kabhi kal mein hun main ajib surat-e-haal hun
koi apne aap se hai mafar na hon apni zat se ba-KHabar
main talash apni kahan karun ki main aap apni misal hun
main hun apni zat mein KHud chaman main hun 'baqar' apne numu ka fan
kabhi ghunchagi mein girafta-dil kabhi josh-e-jaan se nihan hun

Ghazal
Use main talash kahan karun wo uruj hai main zawal hun
Sajjad Baqar Rizvi