use jab bhi dekha bahut dhyan se
to palkon mein aaine sajne lage
KHusha ai sar-e-sham bhige shajar
tere zaKHm kuchh aur gahre hue
musafir pe KHud se bichhaDne ki rut
wo jab ghar ko lauTe bahut dil dukhe
kahin dur sahil pe utre dhanak
kahin naw par amn-baadal chale
bahut tirgi mere mahlon mein thi
dariche jo khole to manzar uge
ajab aanch hai dil ke daman talak
koi aag jaise hawa mein bahe
bahut dastaken thin wo Thahra bhi tha
hawa tez ho jab to kya dar khule
wo chaha gaya tha jinhen TuT kar
parae mile the parae gae
tera nutq hi mujh ko zanjir tha
abhi tak na mujh se ye halqe khule
Ghazal
Use jab bhi dekha bahut dhyan se
Shahida Tabassum