use hum bhi bhul baiThe na kar us ka zikr tu bhi
koi chaak agar ho zahir to karen use rafu bhi
chalo chal ke puchh aaen ki KHizan ki is gali mein
kabhi aa chuka ho shayad koi sail-e-rang-o-bu bhi
uDi tishnagi ke kuche mein wo gard ek taraf se
hum uTha sake na taqon se gire hue subu bhi
abhi kaise bhul jaun main ye waqia safar mein
abhi gard-e-raftagan bhi hai jagah jagah lahu bhi
is iram iram zamin par ki bahaar umanD rahi hai
koi phul agar khila de meri be-numu bhi
teri anjuman ki raunaq mein na farq aaega kuchh
hamein chup biThane wale kabhi hum se guftugu bhi
mere KHal-o-KHad ko surat ka farogh dene walo
kisi naqsh mein dikhao mera zaKHm-e-shola-ru bhi
Ghazal
Use hum bhi bhul baiThe na kar us ka zikr tu bhi
Mahshar Badayuni