use haal-o-qal se wasta na gharaz maqam-o-qayam se
jise koi nisbat-e-KHas ho tere husn-e-barq-KHiram se
mujhe de rahe hain tasalliyan wo har ek taza payam se
kabhi aa ke manzar-e-am par kabhi haT ke manzar-e-am se
kyun kiya raha jo muqabla KHatraat-e-gam-ba-gam se
sar-e-baam-e-ishq-e-tamam tak rah-e-shauq-e-nim-tamam se
na gharaz kisi se na wasta mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se teri fikr se teri yaad se tere nam se
mere saqiya mere saqiya tujhe marhaba tujhe marhaba
tu pilae ja tu pilae ja isi chashm-e-jam-ba-jam se
teri subh-e-aish hai kya bala tujhe ai falak jo ho hausla
kabhi kar le aa ke muqabla gham-e-hijr-e-yar ki sham se
mujhe yun na KHak mein tu mila main agarche hun tera naqsh-e-pa
tere jalwe ki hai baqa mere shauq-e-nam-ba-nam se
teri chashm-e-mast ko kya kahun ki nazar nazar hai fusun fusun
ye tamam hosh ye sab junun isi ek gardish-e-jam se
ye kitab-e-dil ki hain aayaten main bataun kya jo hain nisbaten
mere sajda-ha-e-dawam ko tere naqsh-ha-e-KHiram se
mujhe chahiye wahi saqiya jo baras chale jo chhalak chale
tere husn-e-shisha-ba-dast se teri chashm-e-baada-ba-jam se
jo uTha hai dard uTha kare koi KHak us se gila kare
jise zid ho husn ke zikr se jise chiDh ho ishq ke nam se
wahin chashm-e-hur phaDak gai abhi pi na thi ki bahak gai
kabhi yak-ba-yak jo chhalak gai kisi rind-e-mast ke jam se
tu hazar uzr kare magar hamein rashk hai aur hi kuchh 'jigar'
teri iztirab-e-nigah se tere ehtiyat-e-kalam se
Ghazal
Use haal-o-qal se wasta na gharaz maqam-o-qayam se
Jigar Moradabadi