use dekha to har be-chehragi kasa uTha lai
tamanna apne KHali hath mein duniya uTha lai
mujhe to apni sari khetiyan sairab karni thin
magar wo mauj apne sath ek sahra uTha lai
rifaqat ko meri tanhai bhuli-bisri yaadon se
koi saya uTha lai koi chehra uTha lai
unhen KHushbu ki chahat mein bahut narmi se chhuna tha
hawa-e-sham to phulon ki komalta uTha lai
wahan to aab-e-shirin ki kai labrez jhilen thin
to phir kyun tishnagi meri mujhe pyasa uTha lai
kabhi in wadiyon mein dur tak raste firozan the
'shahab' ek sar-phiri mauj-e-hawa kohra uTha lai

Ghazal
Use dekha to har be-chehragi kasa uTha lai
Mustafa Shahab