use chhute hue bhi Dar raha tha
wo mera pahla pahla tajraba tha
agarche dukh hamare mushtarak the
magar jo do dilon mein fasla tha
kabhi ek dusre par khul na pae
hamare darmiyan ek tisra tha
wo ek din jaane kis ko yaad kar ke
mere sine se lag ke ro paDa tha
use bhi pyar tha ek ajnabi se
mere bhi dhyan mein ek dusra tha
bichhaDte waqt us ko fikr kyun thi
basar karni to mera masala tha
wo jab samjha mujhe us waqt 'anjum'
mera mear hi badla hua tha
Ghazal
Use chhute hue bhi Dar raha tha
Anjum Saleemi