اردو हिंदी
Use bhulae hue mujhko ek zamana hua | Shaahi Shayari
use bhulae hue mujhko ek zamana hua

Ghazal

Use bhulae hue mujhko ek zamana hua

Mahtab Haider Naqvi

;

use bhulae hue mujh ko ek zamana hua
ki ab tamam mere dard ka fasana hua

hua badan mera dushman adu hui meri ruh
main kis ke dam mein aaya hawas-nishana hua

yahi charagh jo raushan hai bujh bhi sakta tha
bhala hua ki hawaon ka samna na hua

ki jis ki subh mahakti thi sham raushan thi
suna hai wo dar-e-daulat gharib-KHana hua

wo log KHush hain ki wabasta-e-zamana hain
main mutmain hun ki dar us ka mujh pe wa na hua