use bhula na saki naqsh itne gahre the
KHayal-o-KHwab par mere hazar pahre the
wo KHush guman the to jo KHwab the sunahre the
wo bad-guman the andhere the aur gahre the
jo aaj hoti koi baat baat ban jati
use sunane ke imkan bhi sunahre the
samaaton ne kiya raqs mast ho ho kar
sada mein us ki hasin bin jaise lahre the
hamare dard ki ye dastan sunta kaun
yahan to jo bhi the munsif wo sare bahre the
chale gae wo sharar bo ke is qabile mein
to qatl hone ko 'shahin' hum bhi Thahre the

Ghazal
Use bhula na saki naqsh itne gahre the
Salma shaheen