use bhi rabt-e-rihaish tamam karna tha
mujhe bhi apna koi intizam karna tha
nigar-KHane se us ne bhi rang lene the
mujhe bhi sham ka kuchh ehtimam karna tha
mujhe bhi kahni thi ek nazm us ke lahje par
use bhi ishq mein kuchh apna nam karna tha
bas ek lunch hi mumkin tha jaldi jaldi mein
use bhi jaana tha mujh ko bhi kaam karna tha
charagh jalte the jis ke ek ek aasan mein
us ek raat ka kya iKHtitam karna tha
koi kitab girani thi koi sandesa
kisi tarah to use ham-kalam karna tha
bas ek raat bhi guzri nahin wahan 'mansur'
tamam umr jahan par qayam karna tha
Ghazal
Use bhi rabt-e-rihaish tamam karna tha
Mansoor Aafaque