us zulf ki tausif batai nahin jati
ek lambi kahani hai sunai nahin jati
dil hai ki mara jata hai didar ki KHatir
hum hain ki udhar aankh uThai nahin jati
ashkon se kabhi soz-e-jigar kam nahin hota
ye aag to pani se bujhai nahin jati
dil ye to tera dagh-e-muhabbat na chhupega
aaine se taswir chhupai nahin jati
yarab kahan le jaun main hasrat-zada dil ko
ye lash to ab mujh se uThai nahin jati
aahon se kami gham mein na hogi dil-e-nadan
phunkon se kabhi aag bujhai nahin jati
kyun ashk-e-nadamat na bahaen 'jigar' aankhen
jo dil mein lagi hai wo bujhai nahin jati
Ghazal
Us zulf ki tausif batai nahin jati
Jigar Jalandhari